Mat pooch meri pareshani ka karan bhai..
Naukri ki rel pel ne meri band hai bajayii…
padhayee ne kahan kisi ko roti kapda dilwaya hai
Pyaare yeh naukri ka janjaal sirf
Harrri pation walon ke hath aya hai..
Nahi kaam aye meri raat bhar
Jag ke ki hui padhayi..
Le gaya meri naukri wo mantri ka bhai..
Kahin khayi meine kam experience ki maat..
To kahin khayee sarkari daftron ki laat
Kaise ada karun apne baap ki eik eik payi
Jo meri padhayi pe unhone lutaaye..
Maa ke haathon ki wo raat ki chai…
Kahin board exams ki raaton mein neend na ajaye…
Ajj hain wo retire… khatakta to unko bhi hoga
Par apne bête ke aagge roke unka gham kahan kam hoga..
Yaad hai mujhe kaise wo humara computer aya tha..
Ma ne apna fixed deposit tudwaya tha..
Pichle break up ka karan
Date not in KFC and MCD’s tha bhai..
Samajh aya ke pyaar bhi
Paise walo ke jahan mein theharta hai…
Ache ankon ki aur naukri ki ladayi mein
Ajj thoda haara sa mehsus karta hun
Hamesha apni mehnat aur shamata par shak karta hun..
Employment news ki haar add mein apply karta hun..
Interview ki cals expect karta hunn..
Doston ka kehna hai jahan jitni mil jaye
eik bhaar ghuss jao
agar poore dinnn gadhe ki tarah bhi kaam karaye
to bhi wo chillad salary pe app muskuraaye..
Pata hai mujhe eik din to sabko settle ho hi jana hai..
(Umeed par hi to dunia kayam hai.. )
Par freshers ke mann ka gham kahan kisi employer ne jana hai…
Ajj sabhi berozgaaron ko
salaam karta hun bhai…
Pata hai mujhe sab ki pareshani ka karan
yeh naukri ki rel pel hai Bhai..
No comments:
Post a Comment