Iss nakshe ki lakeeron pe na ja,
Inme mera shehar nahi…
Yeh to unhone kheenchi hain
Jinka koi wajood nahi…
Mein to kafir hun….
Wo jiski kalpanae akaash se unchi hain
Jo yeh nahi samajh pata ke
Insaano mein itna farak to nahi….
Ke jarorat pad gayi in lakeeron ki…
Mera koi desh, koi mazhab nahi…
Yeh wo bediaan hai
jinhone ne kabhi mujhe jakda nai
jab bhi do desh ladte hain
mein kisi eik k liye
dua kar pata nahi
bharat Pakistan k cricket match
pe mein kisi ke liye
haar jeet mang pata nai
dehshat gardon ne jo zulm dhayein hain
unke karz ma bachhon ne chukayen hain
kash meri nazar mujhse lele bhagwaan
aur dede andekho ko yeh gyaan
jinhone ne dunia ke nakshe ko
lahu ki lakeeron se sajaya hai
unme se kuch to tumhari
behn betiyon ka bhi khoon tha
unhi ke bachhon ko tumne unn
dango mein maravaya tha…
ajj tak gunjti hain cheeken
massumon ki wadio mein..
bheed bhaad mein ghum hogyi hai
salasakar, karkare aur kamte ki balidaani
ankhon ke samne se nahi ja pati khoon ki
holi jo dilli kheli…
wajood khodia hai insaniyat ne
sabak jo sabhi mazhabon ka hai..
shayad inn lakeeron aur mazbhon ne hi
bharat ma aka anchal lal rang se sanjoya hai..
ab tak to shayad band karli hain ankhen upar wale ne bhi
dekhke uske naam par jo tumne aghaaz uthaya hai..
apni srishti ko dekh sochta hoga
Insaano mein itna farak to nahi….
Ke jarorat pad gayi in lakeeron ki…
Lovely u wrote this arsh ?
ReplyDeleteyes! i wrote this!
ReplyDelete